nazaron se nazerein milate chale,
fizaon se guftagu karte chale,
dil mein kuch kar dikhane kichah ko lete chale ,
apne armanon ke sang chale,
gungunate huye zindagi ki oor chale,
bas hum chalte chale;
dil mein ek arzoo liye,
kabhi maan-baap ki
muskurahat ki wajah banoon,
khushiyon ki laher liye,
ilm ki roshni liye,
sab ki zindagi ko roshan karoon ,
manzil ko paane ka hai junoon,
kuch kar dikhane ki chah liye,
bas hum chalte chale;
1 comment:
Aisa likhne ke liye kya khana parta hai...!!! Ye sab likhne ke liye ideas kaise generate karte hai...!!! Awesome yaar, seriously very nice.. :-)
Post a Comment